Friday, 16 May 2014

Tahajjud Ki Namaz Ki Fazilat
Hazrath Abu Hurairah Radi allaho anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya

"Hamara Rab har Raat Aasman-e-Duniya

ki taraf Nuzul farmata hai us waqt jab Raat ka aakhri tihayee hissa baqi rah jata hai aur farmata hai,
Kaun hai jo Mujhse Dua karta hai ki main uski Dua Qubul karu?
Kaun hai jo Mujhse Mangta hai ki main usey du?
Kaun hai jo Mujhse Bakhshish talab karta hai ki main uski Bakshish karu?

Jo Tahajjud ki namaz padh kar dua maangta hai, besak uski dua qabool hoti hai...

[ Sahih Bukhari, Vol 8, Book 75, No. 333 ]

ALLAH KAREEM. .

No comments:

Post a Comment